Sunday, March 29, 2009

Dedicated to Faraz

Sehte rahe har sitam unka,
Par mathe par ek shikan na ane di,
Wo aye bhi to haal puchne humara,
Jab kabr ki orr mera janaza nikal pada...........

----------------------------------------------------------------------------------

Aaj phir hawayen bahot tej chal rahi hai faraz
Lagta hai aaj phir kisi ashiq ki lau bujhnewali hai.......

----------------------------------------------------------------------------------

Yun to kab ke bujh gaye hain,
Bas khak me milna abhi baki hai.............

----------------------------------------------------------------------------------

Baddi muddat k baad kuch likh raha hun,
Fark sirf itna hai k syahi k jagah lahu ne le li hai.........

----------------------------------------------------------------------------------

Humein ye guman Raha ke chaha Humein duniya Ne..
Aziz To Sab ko They Magar Zarooraton ki Tarhan.....

----------------------------------------------------------------------------------

- Swapnil

No comments: